Thursday, December 17, 2009

Kabhi khusi kabhi Gam




sham ka ek rg aksar khamoshi ban kar aaya

naa jisne kabhi kuch kaha vo teri yaado ke sg tanhayi ban kar aaya

ki aaj bhi vo patta maobbat ke naam ki dasta lekar udata hai

jise kabhi chuaa tha tune ek khat bana kar

mere liye to ab vo hi meri jindagi ban kar aaya



falak se tut kar bhi jii raha hai vo

puch to sahi ek baar usse kyo jakhmo ko apne sii raha hai vo

kis waffa ke vaste vo khud ko tanha rakhta hai

jisne diya naam use bewaffa vo usi ka sazda karta hai

ese main kis ka intzaar kar raha hai vo

jise aana hi nahi hai ab kabhi lout kar kyo us ki raah tak raha hai vo

falak se tut kar bhi jii raha hai vo

puch to sahi usse ek baar kyo apne zakhmao ko sii raha hai vo 



Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya

jine ki mohbat me aarzu bahut thi ,nahi to hum bhi jite the gam ko bhula kar khabhi,
aab har raat aapne sath ek bechani le aati hai, sham dhalti hai sath yek khamoshi bhi chaa jati hai,
rooz ka yek kissa , khud ko bayaa har rooz karta hai,
sayad ye sinsila khatam hoga mere sasso ke sath hi! 



Sunday, October 18, 2009

Dard

Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi, aapke har gham ne bhi sukoon diya, hum zinda hai toh yeh jaankar k pyarse na sahi par,
aapne hume yaad toh kiya…






Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhe ga
Use mujh se kyun gila mujhe sochna parhe ga

Dil e muztarib hua hai teri yaad se gurezaan
Yeh maqaam kaun sa hai mujhe sochna parhe ga

Woh mile to beqaraari hai na mile to beqaraari hai
Mere Dil ko kya hua hai mujhe sochna parhe ga

Dar -e- Dil pe di hai dastak e Aijaz kis ne
Koi aashna sada hai mujhe sochna parhe ga



Pee ke raat ko hum unko bhulane lage.....
Sharab mein gham ko milane lage....
Ye daaru b bewafa nikli yaaro.....
Nashe mein to vo or b yaad aane lage.



koi dewna kehta hai joi pagal samajhta hai magar dharti ki baichaini ko bus badal samajhta hai main tujhse dur kitna hu tu mujhse dur kaisi hai ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hain


jo meri mutthi me band hai
vo bas ik raakh hi to hai
jale sapne uthane pahunchi thi
haathon me chhale hain
bujhi vo aag sapno ki
hai ab mere dil me jalti
tapish usaki hai sari shayeri
yaaden pighaltin hain
vo rah rah kar kabhi kagaz pe
aise bah bhi jaatin hain
kisi ko achchi lagti hain
kisi ka dil jalaati hain
ye sochon ka dhuan hai
qaid hai jo zehan me mere
meri bas saans ghutati hai
tabhi ye qalam bhi chalti hai ....

Ab k yun dil ko saza di hum ne
uss ki har baat bhula di hum ne

eik eik phool bohat yad aya
shakh-e-gul jab woh jala di hum ne

aaj tak jis par woh sharmate hain
baat woh kab ki bhula di hum ne

shehr-e-jahan rakh se abaad hua
aag jub dil ki bhuja di hum ne

aaj phir yad bohat aya woh
aaj phir uss ko dua di hum ne

koi to baat hai uss mai nua
hur khushi jis pe luta di humne .........



WOH AB KASI HO GI,
KIS Se BATEEN KARTI HO GI,
KISE DUKH SUNATI HO GI,
KYA WOH BHE KABHE GAYA WAQAT KO SOCHTI HO GI,
YA YOUN BHI MUMKIN HAI,
KE US KE ZAHAN SE GAY RUTON KE TAMAM NAQASH MIT CAHLE HON,
WOHI HANSI KEJHANKAR,
WOHI DOST,
MAGER NAHI ,
WOH ESI TO NAHI ,
MAGAR PHIR BHI,
WOH MUJHE YAAD KARTI HO GI.....