sham ka ek rg aksar khamoshi ban kar aaya
naa jisne kabhi kuch kaha vo teri yaado ke sg tanhayi ban kar aaya
ki aaj bhi vo patta maobbat ke naam ki dasta lekar udata hai
jise kabhi chuaa tha tune ek khat bana kar
mere liye to ab vo hi meri jindagi ban kar aaya
falak se tut kar bhi jii raha hai vo
puch to sahi ek baar usse kyo jakhmo ko apne sii raha hai vo
kis waffa ke vaste vo khud ko tanha rakhta hai
jisne diya naam use bewaffa vo usi ka sazda karta hai
ese main kis ka intzaar kar raha hai vo
jise aana hi nahi hai ab kabhi lout kar kyo us ki raah tak raha hai vo
falak se tut kar bhi jii raha hai vo
puch to sahi usse ek baar kyo apne zakhmao ko sii raha hai vo
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya
jine ki mohbat me aarzu bahut thi ,nahi to hum bhi jite the gam ko bhula kar khabhi,
aab har raat aapne sath ek bechani le aati hai, sham dhalti hai sath yek khamoshi bhi chaa jati hai,
rooz ka yek kissa , khud ko bayaa har rooz karta hai,
sayad ye sinsila khatam hoga mere sasso ke sath hi!

No comments:
Post a Comment